Kaun Hai Mera KHaridar Nahin Dekhta Main
kaun hai mera KHaridar nahin dekhta main
yani bazar mein meyar nahin dekhta main
KHwab aankhon mein chale aate hain aansu ban kar
is liye tujh ko lagatar nahin dekhta main
tera is bar mujhe dekhna banta hai dost
itni ummid se har bar nahin dekhta main
kab talak tujh ko yunhi dekhte rahna hoga
zindagi ja tujhe is bar nahin dekhta main
(1018) Peoples Rate This