Sochta Hun Sada Main Zamin Par Agar Kuchh Kabhi BanTta

sochta hun sada main zamin par agar kuchh kabhi banTta

to andheron ke nazdik jata unhen raushni banTta

tere hote hue hum tujhe DhunDte phir rahe the aziz

kash tu har ghaDi har jagah hum se maujudgi banTta

KHaliqa mujh ko malum hota agar aaKHiri moD hai

main bichhaDte hue sare kirdar ko zindagi banTta

waqt ne beDiyan Dal rakkhi thin panw mein warna to main

shahr ki sari galiyon ko har waqt aawargi banTta

mere bhai agar darmiyan apne diwar uThti nahin

tera dukh banTta aur tujh se main apni KHushi banTta

mujh ko kamre ki diwar khiDki calender samajhte the bas

aur koi nahin jin se main apni afsurdagi banTta

jo aziyyat ke KHane mein ab rakh rahe hain mohabbat ko kash

ishq hone se pahle unhen 'mir' ki shairi banTta

(927) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sochta Hun Sada Main Zamin Par Agar Kuchh Kabhi BanTta In English By Famous Poet Inaam Azmi. Sochta Hun Sada Main Zamin Par Agar Kuchh Kabhi BanTta is written by Inaam Azmi. Read famous Poem Sochta Hun Sada Main Zamin Par Agar Kuchh Kabhi BanTta for youth and Student by Inaam Azmi. Free Download Sochta Hun Sada Main Zamin Par Agar Kuchh Kabhi BanTta in PDF.