Tasawwuraat Mein Wo Zoom Kar Raha Tha Mujhe

tasawwuraat mein wo zoom kar raha tha mujhe

bahut shadid tawajjoh ka samna tha mujhe

chamak raha tha main suraj ke misl is liye dost

kahin pe ja ke andhere mein Dubna tha mujhe

mujhe wahan se udasi bula rahi thi aaj

jahan se sham-o-sahar koi dekhta tha mujhe

phir us ko ja ke batana paDa ghalat hai ye

samajhne wale ne kya kya samajh rakha tha mujhe

guzar na paya tha jo 'jaun-elia' se bhi

tumhaare baad wo lamha guzarna tha mujhe

lahuluhan hue ja rahe the har manzar

kisi ne waqt ke mathe pe yun likha tha mujhe

main apni nind agar TuTne nahin deta

us ek KHwab se har waqt TuTna tha mujhe

(1078) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tasawwuraat Mein Wo Zoom Kar Raha Tha Mujhe In English By Famous Poet Inaam Azmi. Tasawwuraat Mein Wo Zoom Kar Raha Tha Mujhe is written by Inaam Azmi. Read famous Poem Tasawwuraat Mein Wo Zoom Kar Raha Tha Mujhe for youth and Student by Inaam Azmi. Free Download Tasawwuraat Mein Wo Zoom Kar Raha Tha Mujhe in PDF.