Aasuda-e-mata-e-karam Bolte Nahin

aasuda-e-mata-e-karam bolte nahin

yani amin-e-daulat-e-gham bolte nahin

waraftagan-e-ijz ka aalam hai didani

sar hai dar-e-niyaz pe KHam bolte nahin

kyun bargah-e-naz mein tari hai KHamushi

kya sakinan-e-bagh-e-iram bolte nahin

shikwa-taraaz jabr-e-mohabbat hain bul-hawas

ahl-e-wafa KHuda ki qasam bolte nahin

kis din tha imtihan-e-wafa se mujhe gurez

kab Dagmagae mere qadam bolte nahin

hai sharh-e-karb-e-zist ka ashkon pe inhisar

lekin ye tarjuman-e-alam bolte nahin

'inam' zulm-o-jaur musalsal ke bawajud

hum hain fida-e-lazzat-e-gham bolte nahin

(830) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aasuda-e-mata-e-karam Bolte Nahin In English By Famous Poet Inaam Hanafi. Aasuda-e-mata-e-karam Bolte Nahin is written by Inaam Hanafi. Read famous Poem Aasuda-e-mata-e-karam Bolte Nahin for youth and Student by Inaam Hanafi. Free Download Aasuda-e-mata-e-karam Bolte Nahin in PDF.