Har Samt Se UThta Hai Dhuan Shahr Ke Logo

har samt se uThta hai dhuan shahr ke logo

ye shahr to tha shahr-e-aman shahr ke logo

diwangi-e-ahl-e-KHirad pahunchi yahan tak

har shaKHs ka chehra hai dhuan shahr ke logo

rifat kise milti hai farawani-e-zar se

kirdar se ho faKHr-e-zaman shahr ke logo

le aai yahan tak hamein kirdar ki pasti

azmat hai na azmat ke nishan shahr ke logo

parwarda-e-iman-o-yaqin hote hue bhi

ye waswasa-e-wahm-o-guman shahr ke logo

phenko na KHamoshi pe meri tanz ke patthar

ab bhi hai mere munh mein zaban shahr ke logo

patthar ki chaTanon se ruka hai na rukega

'inam' hai ek ju-e-rawan shahr ke logo

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Samt Se UThta Hai Dhuan Shahr Ke Logo In English By Famous Poet Inaam Hanafi. Har Samt Se UThta Hai Dhuan Shahr Ke Logo is written by Inaam Hanafi. Read famous Poem Har Samt Se UThta Hai Dhuan Shahr Ke Logo for youth and Student by Inaam Hanafi. Free Download Har Samt Se UThta Hai Dhuan Shahr Ke Logo in PDF.