Hote Honge Is Duniya Mein Arsh Ke Dawedar Buland

hote honge is duniya mein arsh ke dawedar buland

pasti ke hum rahne wale nikle aaKHir-e-kar buland

ek taraf ho tum afsurda ek taraf hum aazurda

aur chaman ko banTo yaro aur karo diwar buland

kab zid ki hai hum ne tum se apni unchi hasti ki

kaisi bahs taqaza kaisa tum ho hum se yar buland

le aai majburi hum ko aaj parai mahfil mein

aur tamasha dekh rahe hain ho ho kar aghyar buland

shaer aur takabbur mein kya rishta in mein nisbat kya

shahr-e-suKHan mein rakhiye apne sar ko KHam mear buland

izzat-afzai hai be-shak baat muqaddar ki 'inam'

warna qudrat ne rakkhe hain phulon se bhi KHar buland

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hote Honge Is Duniya Mein Arsh Ke Dawedar Buland In English By Famous Poet Inaam Hanafi. Hote Honge Is Duniya Mein Arsh Ke Dawedar Buland is written by Inaam Hanafi. Read famous Poem Hote Honge Is Duniya Mein Arsh Ke Dawedar Buland for youth and Student by Inaam Hanafi. Free Download Hote Honge Is Duniya Mein Arsh Ke Dawedar Buland in PDF.