Jis Roz Tere Hijr Se Fursat Mein Rahunga

jis roz tere hijr se fursat mein rahunga

malum nahin kaun si wahshat mein rahunga

kuchh der rahunga kisi tare ke jilau mein

kuchh der kisi KHwab ki KHalwat mein rahunga

KHamosh khaDa hun main dar-e-KHwab se bahar

kya jaaniye kab tak isi haalat mein rahunga

kuchh roz abhi aur hai ye aaina-KHana

kuchh roz abhi aur main hairat mein rahunga

dil mein jo ye ehsas ki konpal si khuli hai

ta-der 'nadim' us ki masarrat mein rahunga

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Roz Tere Hijr Se Fursat Mein Rahunga In English By Famous Poet Inam Nadeem. Jis Roz Tere Hijr Se Fursat Mein Rahunga is written by Inam Nadeem. Read famous Poem Jis Roz Tere Hijr Se Fursat Mein Rahunga for youth and Student by Inam Nadeem. Free Download Jis Roz Tere Hijr Se Fursat Mein Rahunga in PDF.