Kabhi MuD Ke Phir Isi Rah Par Na To Aae Tum Na To Aae Hum

kabhi muD ke phir isi rah par na to aae tum na to aae hum

kabhi faslon ko sameT kar na to aae tum na to aae hum

jo tumhein hai apni ana pasand to mujhe bhi shart ka pas hai

ye zidon ke silsile toD kar na to aae tum na to aae hum

unhin chahaton mein bandhe hue abhi tum bhi ho abhi hum bhi hain

hai kashish dilon mein bahut magar na to aae tum na to aae hum

shab-e-wasl bhi shab-e-hijr hai shab-e-hijr ab to hai mustaqil

yahi sochne mein hui sahar na to aae tum na to aae hum

wo jharoke pardon mein band hain wo tamam galiyan udas hain

kabhi KHwab mein sar-e-rahguzar na to aae tum na to aae hum

usi shahr ki usi rah par the hamare ghar bhi qarib-tar

yunhi ghumte rahe umr bhar na to aae tum na to aae hum

kabhi ittifaq se mil gae kisi shahr ke kisi moD par

to ye kah uThegi nazar nazar kyun na aae tum kyun na aae hum

(1085) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi MuD Ke Phir Isi Rah Par Na To Aae Tum Na To Aae Hum In English By Famous Poet Indira Varma. Kabhi MuD Ke Phir Isi Rah Par Na To Aae Tum Na To Aae Hum is written by Indira Varma. Read famous Poem Kabhi MuD Ke Phir Isi Rah Par Na To Aae Tum Na To Aae Hum for youth and Student by Indira Varma. Free Download Kabhi MuD Ke Phir Isi Rah Par Na To Aae Tum Na To Aae Hum in PDF.