Kash Wo Pahli Mohabbat Ke Zamane Aate

kash wo pahli mohabbat ke zamane aate

chand se log mera chand sajaane aate

raqs karti hui phir baad-e-bahaaran aati

phul le kar wo mujhe KHud hi bulane aate

un ki tahrir mein alfaz wahi sab hote

yun bhi hota ki kabhi KHat bhi purane aate

un ke hathon mein kabhi pyar ka parcham hota

mere ruThe hue jazbaat manane aate

barishon mein wo dhanak aisi nikalti ab ke

jis se mausam mein wahi rang suhane aate

wo bahaaron ka saman aur wo gul-posh chaman

aise mahaul mein wo dil hi dukhane aate

har taraf dekh rahe hain mere ham-umr KHayal

rah takti hui aankhon ko sulane aate

(1941) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kash Wo Pahli Mohabbat Ke Zamane Aate In English By Famous Poet Indira Varma. Kash Wo Pahli Mohabbat Ke Zamane Aate is written by Indira Varma. Read famous Poem Kash Wo Pahli Mohabbat Ke Zamane Aate for youth and Student by Indira Varma. Free Download Kash Wo Pahli Mohabbat Ke Zamane Aate in PDF.