Mujhe Rang De Na Surur De Mere Dil Mein KHud Ko Utar De

mujhe rang de na surur de mere dil mein KHud ko utar de

mere lafz sare mahak uThen mujhe aisi koi bahaar de

mujhe dhup mein tu qarib kar mujhe saya apna nasib kar

meri nikhaton ko uruj de mujhe phul jaisa waqar de

meri bikhri haalat-e-zar hai na to chain hai na qarar hai

mujhe lams apna nawaz ke mere jism o jaan ko nikhaar de

teri rah kitni tawil hai meri zist kitni qalil hai

mera waqt tera asir hai mujhe lamha lamha sanwar de

mere dil ki duniya udas hai na to hosh hai na hawas hai

mere dil mein aa ke Thahar kabhi mere sath umr guzar de

meri nind munis-e-KHwab kar meri rat-jagon ka hisab kar

mere nam fasl-e-gulab kar kabhi aisa mujh ko bhi pyar de

shab-e-gham andheri hai kis qadar karun kaise subh ka main safar

mere chand aa meri le KHabar mujhe raushni ka hisar de

(1482) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Rang De Na Surur De Mere Dil Mein KHud Ko Utar De In English By Famous Poet Indira Varma. Mujhe Rang De Na Surur De Mere Dil Mein KHud Ko Utar De is written by Indira Varma. Read famous Poem Mujhe Rang De Na Surur De Mere Dil Mein KHud Ko Utar De for youth and Student by Indira Varma. Free Download Mujhe Rang De Na Surur De Mere Dil Mein KHud Ko Utar De in PDF.