Yun Wafa Ke Sare Nibhao Gham Ki Fareb Mein Bhi Yaqin Ho

yun wafa ke sare nibhao gham ki fareb mein bhi yaqin ho

koi baat aisi kaho sanam ki fareb mein bhi yaqin ho

ye dayar-e-shisha-farosh hai yahan aainon ki bisat kya

yahan is tarah se rakho qadam ki fareb mein bhi yaqin ho

meri chahaton mein ghurur ho dil-e-na-tawan mein surur ho

tumhein ab ke khana hai wo qasam ki fareb mein bhi yaqin ho

yahi baat kah do pukar ke wahi silsile rahen pyar ke

isi naz mein rahe phir bharam ki fareb mein bhi yaqin ho

mere ishq ka ye meyar ho ki visal bhi na shumar ho

isi e'tibar pe ho karam ki fareb mein bhi yaqin ho

mere intizar ko kya KHabar tumhein iKHtiyar hai is qadar

mujhe do saliqa ye kam se kam ki fareb mein bhi yaqin ho

jahan zikr-e-mehr-o-wafa mile wahin 'indira' ka qalam chale

ye kitab-e-ishq mein ho raqam ki fareb mein bhi yaqin ho

(1102) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Wafa Ke Sare Nibhao Gham Ki Fareb Mein Bhi Yaqin Ho In English By Famous Poet Indira Varma. Yun Wafa Ke Sare Nibhao Gham Ki Fareb Mein Bhi Yaqin Ho is written by Indira Varma. Read famous Poem Yun Wafa Ke Sare Nibhao Gham Ki Fareb Mein Bhi Yaqin Ho for youth and Student by Indira Varma. Free Download Yun Wafa Ke Sare Nibhao Gham Ki Fareb Mein Bhi Yaqin Ho in PDF.