Ek Kahani Ishq Ki

main tere bahattar sathiyon mein nahin tha

mujhe to ishq ne muntaKHab kiya tha

ek wahshat-nak bhiD thi mere ird-gird

magar main is bhiD mein hote hue bhi

kisi wahshat ka hissa na tha

main to tanha tha

ahl-e-hakam ke nazdik to ek baghi tha

aur wo tamam hujum jo faqat hujum tha

be-chehra be-kirdar be-zehn faqat hujum

jo apni ghalat zaruraton ki KHatir

wahi kahte jo ahl-e-hakam kahte wahi sunte jo unhen sunaya jata

wahi dekhte jo unhen dikha jata

su-e-husain-ibn-e-ali

tum baghi Thahre

main is hujum ka hissa nahin tha

magar tum tak aane ke liye mujhe is hujum se guzarna tha

tumhaare sach ko jaanne ke liye

main ne kitne hi jhuT sune

main baatil ke raston ko ubur kar ke

haq tak pahuncha

main tere behtar sathiyon mein nahin tha

magar mashiyyat ko manzur tha ki husain hur se mile

ki tariKH ko bawar ho

ahl-e-ishq ke faisle

KHuda ke faisle hote hain

jis ne zamane ki qasam kha kar

KHasare ka mafhum samjhaya

aur main ne jum-e-ghalat ke darmiyan

is mafhum ko pa liya

main tere bahattar sathiyon mein nahin tha

husain main tera hur tha

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Kahani Ishq Ki In English By Famous Poet Injila Hamesh. Ek Kahani Ishq Ki is written by Injila Hamesh. Read famous Poem Ek Kahani Ishq Ki for youth and Student by Injila Hamesh. Free Download Ek Kahani Ishq Ki in PDF.