Harf-e-muqaddar

jamhuriyat jamhuriyat jamhuriyat

ek wahshat-nak haqiqat

jahan aazadi ho KHun chusne ki

jahan baDi bebaki se ek jhuT dusre jhuT se muqabla kar sake

jahan badi badi ke muqabil ho

jahan yazid ke samne koi husain na ho

jahan yazid ke samne koi husain na ho

jahan kaleja chabane ki puri aazadi ho

jahan azab-e-ilahi ko bhi jamhuriyat tasawwur kiya jata ho

hum aisi tabah-shuda basti ke basi hain

(745) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Harf-e-muqaddar In English By Famous Poet Injila Hamesh. Harf-e-muqaddar is written by Injila Hamesh. Read famous Poem Harf-e-muqaddar for youth and Student by Injila Hamesh. Free Download Harf-e-muqaddar in PDF.