Uske Nam Jise Tariki Nigal Chuki

kaun paDh sakta hai baatin ko

kaun chhu sakta hai aankhon ki virani ko

kaun diwaron pe marti dhup ko apne andar utar sakta hai

jab hawas koDh-zada ho jaen

tab judai ke zaKHm se man ajnabi ho jata hai

wo meri aawaz ke lams se bahut dur hai

wo kaun si banjar zamin hai

jahan mere kisi ehsas kisi kaifiyat ki rasai nahin hoti

be-tahasha chiKH mere andar jama hai

mohabbat kis kis tarah se mazaq banti hai

KHuda ne har bar mere dil ko aazmaya

ye meri KHud-kalami hai jo mujhe zinda rakhe hue hai

warna mujhe marne walon ne

mera amn KHali kar diya tha

us ne KHamoshi ko apna hathiyar banaya

aur us hathiyar se

fariyaad karne wale ki ruh ko zaKHmi kar diya

wo jaanta hai

tashaddud kis kis tarah se kiya ja sakta hai

wo be-zar ho gaya us aawaz se

wo be-zar ho gaya us aawaz se

jo rok rahi thi use andheron mein jaane se

afsos

wo kho gaya

use tariki nigal chuki hai

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uske Nam Jise Tariki Nigal Chuki In English By Famous Poet Injila Hamesh. Uske Nam Jise Tariki Nigal Chuki is written by Injila Hamesh. Read famous Poem Uske Nam Jise Tariki Nigal Chuki for youth and Student by Injila Hamesh. Free Download Uske Nam Jise Tariki Nigal Chuki in PDF.