Wo Jo Kahin Nahin Hai

tera koi din nahin

tera koi rup nahin

abu-suifyan ki hinda

is rang-manch mein

teri koi jagah nahin

ajdad ke intiqam mein

tu kahan hai

naslon ki KHun-asham jang mein

tu jalti rahi

kaleja chabane se husain ka KHun bahane tak

zamin-o-asman tujhe malamat karte rahe

bad-baKHt-o-shikast-KHurda

hinda bint-e-atba

tera qabila teri wahshat se pahchana gaya

tera pagal-pan

teri wajh-e-shohrat hai

kisi faisle kisi rae mein tera koi hawala nahin

tujhe wahshi banane wale tere adh mare aslaf

teri kokh zahr-alud kar ke

tujhe be wajud kar ke

zamin par musallat rahe aaseb ban kar

bad-baKHt hinda

jo itna shuur tujhe hota

to samajh pati

jabri nizam raij karne ke liye

har bar kokh barbaad ki gai

(819) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Jo Kahin Nahin Hai In English By Famous Poet Injila Hamesh. Wo Jo Kahin Nahin Hai is written by Injila Hamesh. Read famous Poem Wo Jo Kahin Nahin Hai for youth and Student by Injila Hamesh. Free Download Wo Jo Kahin Nahin Hai in PDF.