Ye Kis Se Chandni Mein Hum Ba-zer-e-asman LipTe

ye kis se chandni mein hum ba-zer-e-asman lipTe

ki baham arsh par mare KHushi ke qudsiyan lipTe

hudi-KHwan wadi-e-majnun mein naqe ko na le jaana

mabaada ek bagula sa ba-pa-e-sarban lipTe

adab gar hazrat-e-jibril ka mane na ho mujh ko

to shaKH-e-sidra se mere ye aah-e-na-tawan lipTe

sikandar aur dara kya karoDon aur bhi un se

paDe hain gor ke taKHte se zer-e-KHakdan lipTe

kisi Dhab se tabiat sair hoti hi nahin un se

abhi dalan se lae ba-zer-e-saeban lipTe

hanse bole rahe mashghul apne jis tarah chaha

udhar lipTe udhar soe yahan chimTe wahan lipTe

wa-lekin pas kahti hai ki hongi KHwab ki baaten

tumhein kuchh KHair hai sahab batao to jahan lipTe

kidhar loTe kidhar poTe hanse bole kidhar ja kar

kahan lipTe kahan soe kahan chimTe kahan lipTe

ghazal masti mein likh ek aur bhi 'insha' ki ta tere

balaen aa ke saqi le tujhe pir-e-mughan lipTe

(930) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kis Se Chandni Mein Hum Ba-zer-e-asman LipTe In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Ye Kis Se Chandni Mein Hum Ba-zer-e-asman LipTe is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Ye Kis Se Chandni Mein Hum Ba-zer-e-asman LipTe for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Ye Kis Se Chandni Mein Hum Ba-zer-e-asman LipTe in PDF.