Ye Nahin Barq Ek Farangi Hai

ye nahin barq ek farangi hai

rad-o-baran fusun-e-jangi hai

koi duniya se kya bhala mange

wo to bechaari aap nangi hai

wah dilli ki masjid-e-jame

jis mein burraq farsh-e-sangi hai

hausla hai faraKH rindon ka

KHarch ki par bahut si tangi hai

lag gae aib sare us ke sath

yun kaha jis ko mard bangi hai

Daro wahshat ke dhum-dham se tum

wo to ek dewni dabangi hai

jogi-ji sahib aap ki bhi wah

dharm murat ajab ko Dhangi hai

aap hi aap hai pukar uThta

dil bhi jaise ghaDi farangi hai

chashm-e-bad-dur shaiKH-ji sahib

kya izar aap ke uTangi hai

shaiKH-sadi-e-waqt hai 'insha'

tu 'abu-bakr-sad' zangi hai

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Nahin Barq Ek Farangi Hai In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Ye Nahin Barq Ek Farangi Hai is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Ye Nahin Barq Ek Farangi Hai for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Ye Nahin Barq Ek Farangi Hai in PDF.