Dil Bhi Patthar Sina Patthar Aankh Pe PaTTi Rakkhi Hai

dil bhi patthar sina patthar aankh pe paTTi rakkhi hai

kis ne ye pani se bahar ret pe machhli rakkhi hai

mana ki tamir nahin ho pai imarat rindon ki

chand pe rakhne wale ki buniyaad abhi bhi rakkhi hai

ye bhi anokhi baat hai yaro matlab kaise samjha jae

imli ke khaTTe pani par shahd ki makkhi rakkhi hai

kale baadal ka rishta to suraj se na-mumkin hai

kali laDki ke honTon par raat ki rani rakkhi hai

koshish to nakaam rahi hai himmat lekin rakhta hun

taq mein dipak kaise jale ab ghar mein aandhi rakkhi hai

kya bolega aaj taraazu bhed abhi khul jaega

ek palDe mein sach rakkha hai ek mein chandi rakkhi hai

(1286) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Bhi Patthar Sina Patthar Aankh Pe PaTTi Rakkhi Hai In English By Famous Poet Intizar Ghazipuri. Dil Bhi Patthar Sina Patthar Aankh Pe PaTTi Rakkhi Hai is written by Intizar Ghazipuri. Read famous Poem Dil Bhi Patthar Sina Patthar Aankh Pe PaTTi Rakkhi Hai for youth and Student by Intizar Ghazipuri. Free Download Dil Bhi Patthar Sina Patthar Aankh Pe PaTTi Rakkhi Hai in PDF.