Zara Si Baat Se Manzar Badal Bhi Sakta Tha

zara si baat se manzar badal bhi sakta tha

jo hadisa hua basti mein Tal bhi sakta tha

gila na kar meri raftar ka ye bojh bhi dekh

main sab ke sath hun aage nikal bhi sakta tha

hawaen us ke mere darmiyan rahti thin

qarib hote hue dasht jal bhi sakta tha

chalen wo aandhiyan rishta zamin se TuT gaya

ghana daraKHt abhi phul-phal bhi sakta tha

bas ek pal ne mujhe qaid kar liya 'anjum'

main jab giraft se us ki nikal bhi sakta tha

(574) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zara Si Baat Se Manzar Badal Bhi Sakta Tha In English By Famous Poet Iqbal Anjum. Zara Si Baat Se Manzar Badal Bhi Sakta Tha is written by Iqbal Anjum. Read famous Poem Zara Si Baat Se Manzar Badal Bhi Sakta Tha for youth and Student by Iqbal Anjum. Free Download Zara Si Baat Se Manzar Badal Bhi Sakta Tha in PDF.