KHizan Ka Qarz To Ek Ik DaraKHt Par Hai Yahan

KHizan ka qarz to ek ek daraKHt par hai yahan

ye aur baat ki har shaKH bar-war hai yahan

jo soch sakta hai wo zehn jal raha hai abhi

jo dekh sakti hai wo aankh KHun mein tar hai yahan

sunega kaun in aankhon ki be-sada fariyaad

samaaton ka to andaz hi digar hai yahan

sataya aaj munasib jagah pe barish ne

isi bahane Thahar jaen us ka ghar hai yahan

hisar-e-jism se bahar bhi zindagi hai mujhe

ye aur baat ki ehsas mo'tabar hai yahan

(1021) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHizan Ka Qarz To Ek Ik DaraKHt Par Hai Yahan In English By Famous Poet Iqbal Ashhar Qureshi. KHizan Ka Qarz To Ek Ik DaraKHt Par Hai Yahan is written by Iqbal Ashhar Qureshi. Read famous Poem KHizan Ka Qarz To Ek Ik DaraKHt Par Hai Yahan for youth and Student by Iqbal Ashhar Qureshi. Free Download KHizan Ka Qarz To Ek Ik DaraKHt Par Hai Yahan in PDF.