Badan Mein Awwalin Ehsas Hai Takanon Ka
badan mein awwalin ehsas hai takanon ka
rafiq chhuT gaya hai kahin uDanon ka
hisar-e-KHwab mein aanhken panah leti hui
ajab KHumar sa mahaul mein azanon ka
charagh-e-subh si bujhne lagin meri aanhken
jab intishaar na dekha gaya gharanon ka
aman kahte hain jis ko bas ek tasawwur hai
ki yun Thahar sa gaya waqt imtihanon ka
jo us ke honTon ki jumbish mein qaid tha 'ashhar'
wo ek lafz bana bojh mere shanon ka
(1024) Peoples Rate This
Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544
Iqbal Ashhar