Bhigi Bhigi Palkon Par Ye Jo Ek Sitara Hai

bhigi bhigi palkon par ye jo ek sitara hai

chahaton ke mausam ka aaKHiri shumara hai

amn ke parindon ki sarhaden nahin hotin

hum jahan Thahar jaen wo watan hamara hai

sham dastaken degi tab samajh mein aaega

zindagi talatum hai maut ek sahaara hai

kya ajab paheli hai zindagi ka mela bhi

pahle KHud ko DhunDa hai phir tujhe pukara hai

aarzu hai suraj ko aaina dikhane ki

raushni ki sohbat mein ek din guzara hai

(1669) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhigi Bhigi Palkon Par Ye Jo Ek Sitara Hai In English By Famous Poet Iqbal Ashhar. Bhigi Bhigi Palkon Par Ye Jo Ek Sitara Hai is written by Iqbal Ashhar. Read famous Poem Bhigi Bhigi Palkon Par Ye Jo Ek Sitara Hai for youth and Student by Iqbal Ashhar. Free Download Bhigi Bhigi Palkon Par Ye Jo Ek Sitara Hai in PDF.