Tamashai Bane Rahiye Tamasha Dekhte Rahiye

tamashai bane rahiye tamasha dekhte rahiye

yahi duniya hai to kab tak ye duniya dekhte rahiye

agar apne bikharne ka nazara kar nahin sakte

to ye kije ki wo raushan sitara dekhte rahiye

ki yun manzar badal jaane se hairani nahin hoti

agar gulshan mein rahna ho to sahra dekhte rahiye

miyan kya aaine ko khelne ki chiz samjhe the

ab apne-ap ko qiston mein baTta dekhte rahiye

idhar tum pyas ki hurmat ka qissa chheD baiThe ho

udhar mausam ye kahta hai ki dariya dekhte rahiye

(2060) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamashai Bane Rahiye Tamasha Dekhte Rahiye In English By Famous Poet Iqbal Ashhar. Tamashai Bane Rahiye Tamasha Dekhte Rahiye is written by Iqbal Ashhar. Read famous Poem Tamashai Bane Rahiye Tamasha Dekhte Rahiye for youth and Student by Iqbal Ashhar. Free Download Tamashai Bane Rahiye Tamasha Dekhte Rahiye in PDF.