Thahri Thahri Si Tabiat Mein Rawani Aai

Thahri Thahri si tabiat mein rawani aai

aaj phir yaad mohabbat ki kahani aai

aaj phir nind ko aankhon se bichhaDte dekha

aaj phir yaad koi choT purani aai

muddaton baad chala un pe hamara jadu

muddaton baad hamein baat banani aai

muddaton baad pasheman hua dariya hum se

muddaton baad hamein pyas chhupani aai

muddaton baad khuli wusat-e-sahra hum par

muddaton baad hamein KHak uDani aai

muddaton baad mayassar hua man ka aanchal

muddaton baad hamein nind suhani aai

itni aasani se milti nahin fan ki daulat

Dhal gai umr to ghazlon pe jawani aai

(5777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thahri Thahri Si Tabiat Mein Rawani Aai In English By Famous Poet Iqbal Ashhar. Thahri Thahri Si Tabiat Mein Rawani Aai is written by Iqbal Ashhar. Read famous Poem Thahri Thahri Si Tabiat Mein Rawani Aai for youth and Student by Iqbal Ashhar. Free Download Thahri Thahri Si Tabiat Mein Rawani Aai in PDF.