Tumhaari KHushbu Thi Ham-safar To Hamara Lahja Hi Dusra Tha

tumhaari KHushbu thi ham-safar to hamara lahja hi dusra tha

ye aks bhi aashna sa hai kuchh magar wo chehra hi dusra tha

wo adh-khuli khiDkiyon ka mausam guzar gaya to ye raaz jaana

idhar shanasai tak nahin thi udhar taqaza hi dusra tha

gulab khilte the chahaton ke charagh jalte the aahaTon ke

jahan barasti hain wahshaten ab kabhi wo rasta hi dusra tha

kabhi na kahta tha dil hamara ki aansuon ko likhen sitara

judaiyon ki kasak se pahle ye istiara hi dusra tha

udas lafzon ke raste mein ye raushni ki lakir kab thi

mohabbaton ke safar se pahle ghazal ka lahja hi dusra tha

(1909) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaari KHushbu Thi Ham-safar To Hamara Lahja Hi Dusra Tha In English By Famous Poet Iqbal Ashhar. Tumhaari KHushbu Thi Ham-safar To Hamara Lahja Hi Dusra Tha is written by Iqbal Ashhar. Read famous Poem Tumhaari KHushbu Thi Ham-safar To Hamara Lahja Hi Dusra Tha for youth and Student by Iqbal Ashhar. Free Download Tumhaari KHushbu Thi Ham-safar To Hamara Lahja Hi Dusra Tha in PDF.