Zawal-e-fikr-o-fan Tha Aur Main Tha

zawal-e-fikr-o-fan tha aur main tha

ajab qaht-e-suKHan tha aur main tha

purane lafz tafsiren nai thin

ghazal ka bankpan tha aur main tha

ajab rudad thi mere safar ki

libas-e-be-shikan tha aur main tha

saza thi imtihan tha kya pata ek

sulagta agni ban tha aur main tha

wahi us ki shikayat thi purani

wahi mera chalan tha aur main tha

wahi miTTi wahi pani hawa thi

wahi mera watan tha aur main tha

wo ek lamha ki mere sar pe 'asif'

bahut dushwar-kun tha aur main tha

(962) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zawal-e-fikr-o-fan Tha Aur Main Tha In English By Famous Poet Iqbal Asif. Zawal-e-fikr-o-fan Tha Aur Main Tha is written by Iqbal Asif. Read famous Poem Zawal-e-fikr-o-fan Tha Aur Main Tha for youth and Student by Iqbal Asif. Free Download Zawal-e-fikr-o-fan Tha Aur Main Tha in PDF.