Apne Markaz Se Agar Dur Nikal Jaoge

apne markaz se agar dur nikal jaoge

KHwab ho jaoge afsanon mein Dhal jaoge

ab to chehron ke KHad-o-KHal bhi pahle se nahin

kis ko malum tha tum itne badal jaoge

apne parcham ka kahin rang bhula mat dena

surKH shoalon se jo kheloge to jal jaoge

de rahe hain tumhein to log rifaqat ka fareb

un ki tariKH paDhoge to dahal jaoge

apni miTTi hi pe chalne ka saliqa sikho

sang-e-marmar pe chaloge to phisal jaoge

KHwab-gahon se nikalte hue Darte kyun ho

dhup itni to nahin hai ki pighal jaoge

tez qadmon se chalo aur tasadum se bacho

bhiD mein sust chaloge to kuchal jaoge

ham-safar DhunDo na rahbar ka sahaara chaho

Thokaren khaoge to KHud hi sambhal jaoge

tum ho ek zinda-e-jawed riwayat ke charagh

tum koi sham ka suraj ho ki Dhal jaoge

subh-e-sadiq mujhe matlub hai kis se mangun

tum to bhole ho charaghon se bahal jaoge

(3212) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Markaz Se Agar Dur Nikal Jaoge In English By Famous Poet Iqbal Azeem. Apne Markaz Se Agar Dur Nikal Jaoge is written by Iqbal Azeem. Read famous Poem Apne Markaz Se Agar Dur Nikal Jaoge for youth and Student by Iqbal Azeem. Free Download Apne Markaz Se Agar Dur Nikal Jaoge in PDF.