Apna Ghar ChhoD Ke Hum Log Wahan Tak Pahunche

apna ghar chhoD ke hum log wahan tak pahunche

subh-e-farda ki kiran bhi na jahan tak pahunche

main ne aankhon mein chhupa rakkhe hain kuchh aur charagh

raushni subh ki shayad na yahan tak pahunche

be-kahe baat samajh lo to munasib hoga

is se pahle ki yahi baat zaban tak pahunche

tum ne hum jaise musafir bhi na dekhe honge

jo bahaaron se chale aur KHizan tak pahunche

aaj pindar-e-tamanna ka fusun TuT gaya

chand kam-zarf gile nok-e-zaban tak pahunche

(926) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apna Ghar ChhoD Ke Hum Log Wahan Tak Pahunche In English By Famous Poet Iqbal Azeem. Apna Ghar ChhoD Ke Hum Log Wahan Tak Pahunche is written by Iqbal Azeem. Read famous Poem Apna Ghar ChhoD Ke Hum Log Wahan Tak Pahunche for youth and Student by Iqbal Azeem. Free Download Apna Ghar ChhoD Ke Hum Log Wahan Tak Pahunche in PDF.