Bil-ehtimam Zulm Ki Tajdid Ki Gai

bil-ehtimam zulm ki tajdid ki gai

aur hum ko sabr-o-zabt ki takid ki gai

awwal to bolne ki ijazat na thi hamein

aur hum ne kuchh kaha bhi to tardid ki gai

anjam-kar baat shikayat par ruki

pursish agarche az-rah-e-tamhid ki gai

tajdid-e-iltifat ki tajwiz rad hui

tark-e-talluqat ki taid ki gai

jine ka koi ek sahaara to chahiye

Dar Dar ke ki gai magar ummid ki gai

ghar ke charagh aur bhi be-nur ho gae

is darja KHatir-e-mah-o-KHurshid ki gai

(1592) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bil-ehtimam Zulm Ki Tajdid Ki Gai In English By Famous Poet Iqbal Azeem. Bil-ehtimam Zulm Ki Tajdid Ki Gai is written by Iqbal Azeem. Read famous Poem Bil-ehtimam Zulm Ki Tajdid Ki Gai for youth and Student by Iqbal Azeem. Free Download Bil-ehtimam Zulm Ki Tajdid Ki Gai in PDF.