Har-chand Gam Gam Hawadis Safar Mein Hain

har-chand gam gam hawadis safar mein hain

wo KHush-nasib hain jo teri rahguzar mein hain

takid-e-zabt ahd-e-wafa izn-e-zindagi

kitne payam ek nigah-e-muKHtasar mein hain

mazi sharik-e-haal hai koshish ke bawajud

dhundle se kuchh nuqush abhi tak nazar mein hain

lillah is KHulus se pursish na kijiye

tufan kab se band meri chashm-e-tar mein hain

manzil to KHush-nasibon mein taqsim ho chuki

kuchh KHush-KHayal log abhi tak safar mein hain

mahfil mein un ki samt nigahen na uTh sakin

hum bil-KHusus ahl-e-nazar ki nazar mein hain

ye kaise rah-rau the ki har naqsh-e-pa ke sath

sajdon ke kuchh nishan bhi is rahguzar mein hain

(966) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har-chand Gam Gam Hawadis Safar Mein Hain In English By Famous Poet Iqbal Azeem. Har-chand Gam Gam Hawadis Safar Mein Hain is written by Iqbal Azeem. Read famous Poem Har-chand Gam Gam Hawadis Safar Mein Hain for youth and Student by Iqbal Azeem. Free Download Har-chand Gam Gam Hawadis Safar Mein Hain in PDF.