Mujhe Apne Zabt Pe Naz Tha Sar-e-bazm Raat Ye Kya Hua

mujhe apne zabt pe naz tha sar-e-bazm raat ye kya hua

meri aankh kaise chhalak gai mujhe ranj hai ye bura hua

meri zindagi ke charagh ka ye mizaj koi naya nahin

abhi raushni abhi tirgi na jala hua na bujha hua

mujhe jo bhi dushman-e-jaan mila wahi puKHta-kar-e-jafa mila

na kisi ki zarb ghalat paDi na kisi ka tir KHata hua

mujhe aap kyun na samajh sake ye KHud apne dil hi se puchhiye

meri dastan-e-hayat ka to waraq waraq hai khula hua

jo nazar bacha ke guzar gae mere samne se abhi abhi

ye mere hi shahr ke log the mere ghar se ghar hai mila hua

hamein is ka koi bhi haq nahin ki sharik-e-bazm-e-KHulus hon

na hamare pas naqab hai na kuchh aastin mein chhupa hua

mujhe ek gali mein paDa hua kisi bad-nasib ka KHat mila

kahin KHun-e-dil se likha hua kahin aansuon se miTa hua

mujhe ham-safar bhi mila koi to shikasta-haal meri tarah

kai manzilon ka thaka hua kahin raston mein luTa hua

hamein apne ghar se chale hue sar-e-rah umr guzar gai

koi justuju ka sila mila na safar ka haq hi ada hua

(3206) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Apne Zabt Pe Naz Tha Sar-e-bazm Raat Ye Kya Hua In English By Famous Poet Iqbal Azeem. Mujhe Apne Zabt Pe Naz Tha Sar-e-bazm Raat Ye Kya Hua is written by Iqbal Azeem. Read famous Poem Mujhe Apne Zabt Pe Naz Tha Sar-e-bazm Raat Ye Kya Hua for youth and Student by Iqbal Azeem. Free Download Mujhe Apne Zabt Pe Naz Tha Sar-e-bazm Raat Ye Kya Hua in PDF.