Mana Ki Zindagi Se Hamein Kuchh Mila Bhi Hai

mana ki zindagi se hamein kuchh mila bhi hai

is zindagi ko hum ne bahut kuchh diya bhi hai

mahsus ho raha hai ki tanha nahin hun main

shayad kahin qarib koi dusra bhi hai

qatil ne kis safai se dhoi hai aastin

us ko KHabar nahin ki lahu bolta bhi hai

gharqab kar diya tha hamein na-KHudaon ne

wo to kaho ki ek hamara KHuda bhi hai

ho to rahi hai koshish-e-araish-e-chaman

lekin chaman gharib mein ab kuchh raha bhi hai

ai qafile ke logo zara jagte raho

sunte hain qafile mein koi rahnuma bhi hai

hum phir bhi apne chehre na dekhen to kya ilaj

aankhen bhi hain charagh bhi hai aaina bhi hai

'iqbaal' shukr bhejo ki tum dida-war nahin

dida-waron ko aaj koi puchhta bhi hai

(1644) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mana Ki Zindagi Se Hamein Kuchh Mila Bhi Hai In English By Famous Poet Iqbal Azeem. Mana Ki Zindagi Se Hamein Kuchh Mila Bhi Hai is written by Iqbal Azeem. Read famous Poem Mana Ki Zindagi Se Hamein Kuchh Mila Bhi Hai for youth and Student by Iqbal Azeem. Free Download Mana Ki Zindagi Se Hamein Kuchh Mila Bhi Hai in PDF.