Sab Samajhte Hain Ki Hum Kis Karwan Ke Log Hain

sab samajhte hain ki hum kis karwan ke log hain

phir bhi puchha ja raha hai hum kahan ke log hain

millat-e-baiza ne ye sikha hai sad-ha sal mein

ye yahan ke log hain aur wo wahan ke log hain

KHali paimane liye baiThe hain rindan-e-kiram

mai-kada un ka hai jo pir-e-mughan ke log hain

in se mat puchho ki manzil tum se kyun chhini gai

in ko mat chheDo ye mir-e-karwan ke log hain

gul-faroshi se unhen hum rokne wale hain kaun

hum chaman ke log hain wo baghban ke log hain

apne dushman se hamein 'iqbaal' koi Dar nahin

un se be-shak KHauf hai jo darmiyan ke log hain

(1352) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Samajhte Hain Ki Hum Kis Karwan Ke Log Hain In English By Famous Poet Iqbal Azeem. Sab Samajhte Hain Ki Hum Kis Karwan Ke Log Hain is written by Iqbal Azeem. Read famous Poem Sab Samajhte Hain Ki Hum Kis Karwan Ke Log Hain for youth and Student by Iqbal Azeem. Free Download Sab Samajhte Hain Ki Hum Kis Karwan Ke Log Hain in PDF.