Tum Ghairon Se Hans Hans Ke Mulaqat Karo Ho

tum ghairon se hans hans ke mulaqat karo ho

aur hum se wahi zahr-bhari baat karo ho

bach bach ke guzar jao ho tum pas se mere

tum to ba-KHuda ghairon ko bhi mat karo ho

nashtar sa utar jawe hai sine mein hamare

jab mathe pe bal Dal ke tum baat karo ho

taqwe bhi bahak jawen hain mahfil mein tumhaari

tum apni in aankhon se karamat karo ho

phulon ki mahak aawe hai sanson mein tumhaari

moti se bikhar jawen hain jab baat karo ho

hum ghairon ke aage tumhein kya haal bataen

pas aa ke suno dur se kya baat karo ho

kya kah ke pukarenge tumhein log ye socho

'iqbaal' pe tum zulm to din raat karo ho

(1841) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Ghairon Se Hans Hans Ke Mulaqat Karo Ho In English By Famous Poet Iqbal Azeem. Tum Ghairon Se Hans Hans Ke Mulaqat Karo Ho is written by Iqbal Azeem. Read famous Poem Tum Ghairon Se Hans Hans Ke Mulaqat Karo Ho for youth and Student by Iqbal Azeem. Free Download Tum Ghairon Se Hans Hans Ke Mulaqat Karo Ho in PDF.