Wo Yun Mila Ki Ba-zahir KHafa KHafa Sa Laga

wo yun mila ki ba-zahir KHafa KHafa sa laga

na jaane kyun wo mujhe phir bhi ba-wafa sa laga

mizaj us ne na puchha magar salam liya

ye be-ruKHi ka saliqa bhi kuchh bhala sa laga

ghubar-e-waqt ne kuchh yun badal diye chehre

KHud apna shahr bhi mujh ko naya naya sa laga

ghuTi ghuTi si lagi raat anjuman ki faza

charagh jo bhi jala kuchh bujha bujha sa laga

jo hum pe guzri hai shayad sabhi pe guzri ho

fasana jo bhi suna kuchh suna suna sa laga

majal-e-arz-e-tamanna kare koi kaise

jo lafz honTon pe aaya Dara Dara sa laga

main ghar se chal ke akela yahan tak aaya hun

jo ham-safar bhi mila kuchh thaka thaka sa laga

isi ka nam hai shaistagi o pas-e-wafa

palak tak aa ke jo aansu thama thama sa laga

kuchh is KHulus se us ne kaha mujhe 'iqbaal'

KHud apna nam bhi mujh ko baDa baDa sa laga

(4436) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Yun Mila Ki Ba-zahir KHafa KHafa Sa Laga In English By Famous Poet Iqbal Azeem. Wo Yun Mila Ki Ba-zahir KHafa KHafa Sa Laga is written by Iqbal Azeem. Read famous Poem Wo Yun Mila Ki Ba-zahir KHafa KHafa Sa Laga for youth and Student by Iqbal Azeem. Free Download Wo Yun Mila Ki Ba-zahir KHafa KHafa Sa Laga in PDF.