Ye Nigah-e-sharm Jhuki Jhuki Ye Jabin-e-naz Dhuan Dhuan

ye nigah-e-sharm jhuki jhuki ye jabin-e-naz dhuan dhuan

mere bas ki ab nahin dastan mera kanpta hai ruwan ruwan

ye taKHaiyyulat ki zindagi ye tasawwuraat ki bandagi

faqat ek fareb-e-KHayal par meri zindagi hai rawan dawan

mere dil pe naqsh hain aaj tak wo ba-ehtiyat nawazishen

wo ghurur o- zabt ayan ayan wo KHulus o rabt nihan nihan

na safar ba-shart-e-maal hai na talab ba-qaid-e-sawal hai

faqat ek seri-e-zauq ko main bhaTak raha hun kahan kahan

ho tilism-e-alam-e-rang-o-bu ki harim-e-anjum-o-kahkashan

mera sath degi nazar meri wo chhupenge ja ke jahan jahan

meri KHalwaton ki ye jannaten kai bar saj ke ujaD gain

mujhe barha ye hua guman ki tum aa rahe ho kashan kashan

(1777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Nigah-e-sharm Jhuki Jhuki Ye Jabin-e-naz Dhuan Dhuan In English By Famous Poet Iqbal Azeem. Ye Nigah-e-sharm Jhuki Jhuki Ye Jabin-e-naz Dhuan Dhuan is written by Iqbal Azeem. Read famous Poem Ye Nigah-e-sharm Jhuki Jhuki Ye Jabin-e-naz Dhuan Dhuan for youth and Student by Iqbal Azeem. Free Download Ye Nigah-e-sharm Jhuki Jhuki Ye Jabin-e-naz Dhuan Dhuan in PDF.