Mauj-e-bala Mein Roz Koi Dubta Rahe

mauj-e-bala mein roz koi Dubta rahe

sahil har ek bar magar dekhta rahe

yaron ki kashtiyan rahin sahil se be-niyaz

tufan se be-niyaz agar naKHuda rahe

KHairaat mein kabhi nahin mangin mohabbaten

har-chand mere dost mujhe aazma rahe

jin ko nahin thi daulat-e-ehsas tak nasib

takrim-e-be-nazar mein wahi dewta rahe

main aise husn-e-zan ko KHuda manta nahin

aahon ke ehtijaj se jo mawara rahe

mana ki har tarah hai taghayyur se be-niyaz

lekin wo haal-e-gham se to kuchh aashna rahe

'kaifi' zamir-baKHta logon se kab talak

KHairaat-e-ehtiram koi mangta rahe

(897) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mauj-e-bala Mein Roz Koi Dubta Rahe In English By Famous Poet Iqbal Kaifi. Mauj-e-bala Mein Roz Koi Dubta Rahe is written by Iqbal Kaifi. Read famous Poem Mauj-e-bala Mein Roz Koi Dubta Rahe for youth and Student by Iqbal Kaifi. Free Download Mauj-e-bala Mein Roz Koi Dubta Rahe in PDF.