Lab-e-gudaz Pe Alfaz-e-saKHt Rahte Hain

lab-e-gudaz pe alfaz-e-saKHt rahte hain

zaban-e-ghair ke lahje karaKHt rahte hain

kahin kahin to ghulamon se bhi rahe bad-tar

wo jin ke panw ki Thokar mein taKHt rahte hain

ruten badalti hain waqt ek sa nahin rahta

tamam umr na bedar baKHt rahte hain

KHizan ka daur bhi aata hai ek din 'kaifi'

sada-bahaar kahan tak daraKHt rahte hain

(891) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab-e-gudaz Pe Alfaz-e-saKHt Rahte Hain In English By Famous Poet Iqbal Kaifi. Lab-e-gudaz Pe Alfaz-e-saKHt Rahte Hain is written by Iqbal Kaifi. Read famous Poem Lab-e-gudaz Pe Alfaz-e-saKHt Rahte Hain for youth and Student by Iqbal Kaifi. Free Download Lab-e-gudaz Pe Alfaz-e-saKHt Rahte Hain in PDF.