Abhi Mera Aaftab Ufuq Ki Hudud Se Aashna Nahin Hai

abhi mera aaftab ufuq ki hudud se aashna nahin hai

meri bhi shab ki sahar hai lekin numud se aashna nahin hai

khule kisi ke shuur par to mujhe bhi us ka suragh de de

ki mera jauhar hunuz apne wajud se aashna nahin hai

ghazab hai fitrat ka dasht-o-kohsar mein nawa-e-sukut bharna

magar wo kya sun sakega jo is surud se aashna nahin hai

main kis guman par kahun zamane mein mera aaghaz ho chuka hai

ki mera lamha abhi tak apne warud se aashna nahin hai

KHabar nahin karobar-e-ulfat mein ja rahi hai kidhar tabiat

ziyan se rakhti nahin taaruf ki sud se aashna nahin hai

dila raha hun main us ko ehsas us ki pahli rafaqaton ka

jo aaj 'iqbaal' meri bud-o-nabud se aashna nahin hai

(993) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Mera Aaftab Ufuq Ki Hudud Se Aashna Nahin Hai In English By Famous Poet Iqbal Kausar. Abhi Mera Aaftab Ufuq Ki Hudud Se Aashna Nahin Hai is written by Iqbal Kausar. Read famous Poem Abhi Mera Aaftab Ufuq Ki Hudud Se Aashna Nahin Hai for youth and Student by Iqbal Kausar. Free Download Abhi Mera Aaftab Ufuq Ki Hudud Se Aashna Nahin Hai in PDF.