Agarche Mujhko Be-tauq-o-rasan-basta Nahin ChhoDa

agarche mujh ko be-tauq-o-rasan-basta nahin chhoDa

kisi qaidi ko us ne is qadar sasta nahin chhoDa

har ek se dusre ka rabt us ne toD Dala hai

kisi ka dil kisi ke dil se wabasta nahin chhoDa

KHud apne KHwab chun aaya hun kuchh rangin dhokon mein

kisi titli ki KHatir main ne guldasta nahin chhoDa

sunen rudad-e-gham kis se ki aashob-e-tabahi ne

koi ek bhi gharana shahr mein basta nahin chhoDa

kahen kya haal qabron ka ki ab ke us ne basti mein

janaze bhi guzarne ka koi rasta nahin chhoDa

kahan par us ne mujh par taliyan bajti nahin chahen

kahan kis kis ko mere haal par hansta nahin chhoDa

(874) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agarche Mujhko Be-tauq-o-rasan-basta Nahin ChhoDa In English By Famous Poet Iqbal Kausar. Agarche Mujhko Be-tauq-o-rasan-basta Nahin ChhoDa is written by Iqbal Kausar. Read famous Poem Agarche Mujhko Be-tauq-o-rasan-basta Nahin ChhoDa for youth and Student by Iqbal Kausar. Free Download Agarche Mujhko Be-tauq-o-rasan-basta Nahin ChhoDa in PDF.