Iqbaal Yunhi Kab Tak Hum Qaid-e-ana KaTen

'iqbaal' yunhi kab tak hum qaid-e-ana kaTen

mil baiTh ke logon mein aa apne KHala kaTen

jo karna hai ab kar len hum tum se na kahte the

ab sang-sitam chahen hone ki saza kaTen

ab banjh zaminon se ummid bhi kya rakhna

roen bhi to la-hasil boen bhi to kya kaTen

par le ke kidhar jaen kuchh dur tak uD aaen

dam jitna mayassar hai ye Thahri hawa kaTen

is marhala-e-shab mein ab ek hi surat hai

ya dasht-e-talab paTen ya gardish-e-pa kaTen

(968) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Iqbaal Yunhi Kab Tak Hum Qaid-e-ana KaTen In English By Famous Poet Iqbal Kausar. Iqbaal Yunhi Kab Tak Hum Qaid-e-ana KaTen is written by Iqbal Kausar. Read famous Poem Iqbaal Yunhi Kab Tak Hum Qaid-e-ana KaTen for youth and Student by Iqbal Kausar. Free Download Iqbaal Yunhi Kab Tak Hum Qaid-e-ana KaTen in PDF.