Karen Hijrat To KHak-e-shahr Bhi Juz-dan Mein Rakh Len

karen hijrat to KHak-e-shahr bhi juz-dan mein rakh len

chalen ghar se to ghar kya yaad bhi saman mein rakh len

hamara kya ki gul ko noch kar takrim bhi de den

sahife mein saja den ya kisi gul-dan mein rakh len

ziyan-e-dil hi is bazar mein sud-e-mohabbat hai

yahan hai faeda KHud ko agar nuqsan mein rakh len

bahut tarsi hai duniya tere hashr-e-ru-numai ko

bata ab ye talab hum aur kis imkan mein rakh len

hamara kufr ye hai harf aata ho jahan tujh par

hamin to hain jo teri aabru iman mein rakh len

aman ki ek hi surat hai ab is be-yaqini mein

parind-e-ghaar! hum bhi jaan teri jaan mein rakh len

Dhale jab tak na shab hum kaDh kar ek shama ki lau se

tulu-e-subh ka manzar na raushan-dan mein rakh len?

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karen Hijrat To KHak-e-shahr Bhi Juz-dan Mein Rakh Len In English By Famous Poet Iqbal Kausar. Karen Hijrat To KHak-e-shahr Bhi Juz-dan Mein Rakh Len is written by Iqbal Kausar. Read famous Poem Karen Hijrat To KHak-e-shahr Bhi Juz-dan Mein Rakh Len for youth and Student by Iqbal Kausar. Free Download Karen Hijrat To KHak-e-shahr Bhi Juz-dan Mein Rakh Len in PDF.