Main Dar Pe Tere Dar-ba-dari Se Nikal Aaya

main dar pe tere dar-ba-dari se nikal aaya

chal kar ba-durusti ghalati se nikal aaya

ab masala ye hai tere mahwar mein kab utrun

main apni hadon se to kabhi se nikal aaya

kab mujh ko nikalna tha ye hairat hai falak ko

maidan-e-zamin mein main abhi se nikal aaya

is tira-shabi mein kisi jugnu ki chamak hai

ya jugnu KHud is tira-shabi se nikal aaya

ai arsh-e-moalla ke makin tujh ko KHabar hai

main teri taraf be-KHabari se nikal aaya

dhyan aaya mujhe raat ki tanha-safari ka

yak-dam koi saya sa gali se nikal aaya

sau pech-e-rah-e-rahbari tha ki main jis se

apne hunar-e-rahrawi se nikal aaya

wo lamha-e-awwal ki tu jab aankh mein utra

wo waqt bhi kya tha ki ghaDi se nikal aaya

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Dar Pe Tere Dar-ba-dari Se Nikal Aaya In English By Famous Poet Iqbal Kausar. Main Dar Pe Tere Dar-ba-dari Se Nikal Aaya is written by Iqbal Kausar. Read famous Poem Main Dar Pe Tere Dar-ba-dari Se Nikal Aaya for youth and Student by Iqbal Kausar. Free Download Main Dar Pe Tere Dar-ba-dari Se Nikal Aaya in PDF.