Bagulon Ki Safen Kirnon Ke Lashkar Samne Aae

bagulon ki safen kirnon ke lashkar samne aae

qadam uTThe jidhar zaKHmon ke patthar samne aae

thakan se TuT kar jab KHwab-e-rahat ki tamanna ki

rida-e-gham liye kanTon ke bistar samne aae

darida baadban kamzor kashti raat tufani

dahan khole syahi ke samundar samne aae

talash-e-ab-e-haiwan mein jahan mere qadam pahunche

wahan zahrab se labrez saghar samne aae

gharib-e-shahr kis ke aastane par sada deta

kai ghar rah mein dekhe kai dar samne aae

mere KHuddar lab par jab kabhi lafz-e-ana aaya

meri qimat lagane kisa-e-zar samne aae

mizaj aisa hai kuchh 'mahir' murawwat aa hi jati hai

koi shatir agar masum ban kar samne aae

(804) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bagulon Ki Safen Kirnon Ke Lashkar Samne Aae In English By Famous Poet Iqbal Mahir. Bagulon Ki Safen Kirnon Ke Lashkar Samne Aae is written by Iqbal Mahir. Read famous Poem Bagulon Ki Safen Kirnon Ke Lashkar Samne Aae for youth and Student by Iqbal Mahir. Free Download Bagulon Ki Safen Kirnon Ke Lashkar Samne Aae in PDF.