Gul Ki KHushbu Ki Tarah Aankh Ke Aansu Ki Tarah

gul ki KHushbu ki tarah aankh ke aansu ki tarah

dil pareshan hai gard-e-ram-e-ahu ki tarah

jo gul-andam makinon ko taraste hain hanuz

shahar mein kitne khanDar hain mere pahlu ki tarah

zulf-e-giti ko bhi aaina-o-shana mil jae

tum sanwar jao jo aaraish-e-gesu ki tarah

raqs karta hai zar-o-sim ki jhankar pe fan

marmarin farsh pe bajte hue ghunghru ki tarah

aaj bhi shobda-e-ahl-e-hawas hai insaf

dast-e-baqqal mein purkar taraazu ki tarah

mahsharistan-e-sukun hai meri hasti 'mahir'

kisi shahbaz ke TuTe hue bazu ki tarah

(766) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gul Ki KHushbu Ki Tarah Aankh Ke Aansu Ki Tarah In English By Famous Poet Iqbal Mahir. Gul Ki KHushbu Ki Tarah Aankh Ke Aansu Ki Tarah is written by Iqbal Mahir. Read famous Poem Gul Ki KHushbu Ki Tarah Aankh Ke Aansu Ki Tarah for youth and Student by Iqbal Mahir. Free Download Gul Ki KHushbu Ki Tarah Aankh Ke Aansu Ki Tarah in PDF.