Hasb-e-mamul Aae Hain ShaKHon Mein Phul Ab Ke Baras

hasb-e-mamul aae hain shaKHon mein phul ab ke baras

saya-afgan hain magar un par babul ab ke baras

is tarah badla mohabbat ka usul ab ke baras

hum bhi hain maghmum tum bhi ho malul ab ke baras

jhonpaDon se kaT ke chandi ke bagule chal diye

baala baala uD gai sone ki dhul ab ke baras

itne gham itne masail itne unwan-e-soKHan

hai juda har sher ki shan-e-nuzul ab ke baras

kaT gain sadiyan isi mauhum si ummid par

aasman se hoga rahmat ka nuzul ab ke baras

miT gai tahrir-e-qismat uTh gae anjum-shanas

aql KHud karti hai tadbir-e-husul ab ke baras

inqilab-asar hai raftar mah-o-sal ki

kuchh to badlega zamane ka usul ab ke baras

(773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hasb-e-mamul Aae Hain ShaKHon Mein Phul Ab Ke Baras In English By Famous Poet Iqbal Mahir. Hasb-e-mamul Aae Hain ShaKHon Mein Phul Ab Ke Baras is written by Iqbal Mahir. Read famous Poem Hasb-e-mamul Aae Hain ShaKHon Mein Phul Ab Ke Baras for youth and Student by Iqbal Mahir. Free Download Hasb-e-mamul Aae Hain ShaKHon Mein Phul Ab Ke Baras in PDF.