Rah Donon Ki Wahi Hai Samna Ho Jaega

rah donon ki wahi hai samna ho jaega

hoga nazron ka tasadum hadisa ho jaega

tum se chhuTa bhi agar to zindagi hai ek safar

sath mere aur koi dusra ho jaega

dil ki uftad-e-tabiat ko bhala rokega kaun

phir kisi gham mein kisi din mubtala ho jaega

qafile walon mein tabligh-e-safar karte raho

kuchh na kuchh to rahbari ka haq ada ho jaega

us se be-maqsad bhi tum yun hi agar milte rahe

wo ghalat-fahmi mein ek din mubtala ho jaega

kya KHabar thi ek sarae ke musafir ki tarah

ham-safar hoga wo mera phir juda ho jaega

azm-e-manzil hai to 'mahir' be-KHatar baDhte chalo

un chaTTanon mein bhi paida rasta ho jaega

(841) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah Donon Ki Wahi Hai Samna Ho Jaega In English By Famous Poet Iqbal Mahir. Rah Donon Ki Wahi Hai Samna Ho Jaega is written by Iqbal Mahir. Read famous Poem Rah Donon Ki Wahi Hai Samna Ho Jaega for youth and Student by Iqbal Mahir. Free Download Rah Donon Ki Wahi Hai Samna Ho Jaega in PDF.