Shahpara-e-adab Ho Agar Wardat-e-dil

shahpara-e-adab ho agar wardat-e-dil

naqsh-o-nigar-e-fikr mein ho jae muntaqil

tha e'tibar-e-zabt magar aaj na-gahan

KHud wo taDap uThe hain kuchh aisa dukha hai dil

lutf-o-karam ki ab wo tamanna nahin rahi

kis daur mein hui hai teri chashm munfail

thi aarzu sakun ki magar is qadar nahin

is shiddat-e-KHulus se ghabra gaya hai dil

kis waqt yaad aai hai daur-e-nashat ki

mahaul bhi udas tabiat bhi muzmahil

muddat ke baad aaj mile bhi to is tarah

kuchh hum bhi sharmsar hain kuchh wo bhi hain KHajil

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahpara-e-adab Ho Agar Wardat-e-dil In English By Famous Poet Iqbal Mahir. Shahpara-e-adab Ho Agar Wardat-e-dil is written by Iqbal Mahir. Read famous Poem Shahpara-e-adab Ho Agar Wardat-e-dil for youth and Student by Iqbal Mahir. Free Download Shahpara-e-adab Ho Agar Wardat-e-dil in PDF.