Raat Bhar Koi Na Darwaza Khula

raat bhar koi na darwaza khula

dastaken deti rahi pagal hawa

waqt bhi pahchan se munkir raha

dhund mein lipTa raha ye aaina

koi bhi KHwahish na puri ho saki

raste mein luT gaya ye qafila

wo parinda hun jise hote hi sham

bhul jae apne ghar ka rasta

ham-safar sab ajnabi hote gae

jaise jaise rasta kaTta gaya

hum kinare aa lage thak kar 'nawed'

aur dariya umr bhar chalta raha

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Bhar Koi Na Darwaza Khula In English By Famous Poet Iqbal Naved. Raat Bhar Koi Na Darwaza Khula is written by Iqbal Naved. Read famous Poem Raat Bhar Koi Na Darwaza Khula for youth and Student by Iqbal Naved. Free Download Raat Bhar Koi Na Darwaza Khula in PDF.