Zamin Madar Se Apne Agar Nikal Jae

zamin madar se apne agar nikal jae

na jaane kaun sa manzar kidhar nikal jae

ab aaftab sawa-neze par utarna hai

girift-e-shab se zara ye sahar nikal jae

samar gira ke bhi aandhi ki KHu nahin badli

yahi nahin ki jaDon se shajar nikal jae

ab itni zor se har ghar pe dastaken dena

agar jawab na aae to dar nikal jae

main chal paDa hun to manzil bhi ab milegi 'nawed'

ye rasta mujhe le kar jidhar nikal jae

(803) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Madar Se Apne Agar Nikal Jae In English By Famous Poet Iqbal Naved. Zamin Madar Se Apne Agar Nikal Jae is written by Iqbal Naved. Read famous Poem Zamin Madar Se Apne Agar Nikal Jae for youth and Student by Iqbal Naved. Free Download Zamin Madar Se Apne Agar Nikal Jae in PDF.